Diary of Dan

Wednesday, November 22, 2006

Suron ki barsaat

Sunn meri baat
is barsaat ki raat
yeh surr aye hain yahan
ek - do nahin, poore saat

uff zaraa chupp ho jaana
khule rakhiye kaan
apne dil mein inhe basaa lenaa
yaad rakhnaa inkaa gaan

jab ho jaaogi goongi
inhe karna istemaal
abhi shaayad vishwaas na ho
tab dekhnaa inkaa kamaal

tab inke zariye
kehnaa apni dil ki baat
aur laana har raat mein
taaron ki barsaat

0 Comments:

Post a Comment

<< Home